
Holi ke naye rang bhikarenge aaj,
Chahein woh ho pyaar ka gulaal,
Ya phir ho woh dosti ka kamaal,
Rang phike na padane dena is tyonhaar ke avsar par,
Kyunki yehi rang layegi khushiyaana aapke jeevan mein har mod par.
Pyaar ki Asha
Yeh zindagi ka safar,chal raha hein,chalta rahega
Kab aayega woh din jab koi mujhe bhayega
Uski hansi, meri hasi ban jayegi
Uska gham, mera gham ban jayega
Asha hein,umeed hein, ki vah jald hi aayega.
Pyar ka Milan
Is zindagi ke safar mein na jane kitane aate hein, kaitane jaate hein
Kaise janoongi mein usko,kaise pehchanoongi mein usko
Kaash uske haath mein koi jadoo ki chadi ho,
Ya phir uske dil mein meri jaisi Umeed ki kiran ho
Aisi kya chintan,aisa kya uljan, woh bhi to mere hi talash mein hoga.
Pyaar se Judaa
Jab tak vah mere saath hoga, na jaan paoungi use
Jab tak vah mere paas hoga, na pehchaan pooungi use
Jis din vah door jayega, mera man royega
Aankhon ke aasoon ko to har koi pehchan payega
par vah hi mera raja,aankhon ka tara, jo mere man ke aasoon ko pehchan payega