Sunday, December 6, 2009

Meet ka Safar!

This is my 100th post on blog, and this is what I have to say:

Meet ka safar tha khatta meetha
Un beeti yaadon ko yahan hein sameta
Har ek pal ko phir se jee lungi safar ke zariye
Guzarish hein ki aap humse yunhi judiye rahiye

Friday, December 4, 2009

Meow meow....


Meow Meow karti aa rahi hein woh
Har ek ko apne jaal mein fasan rahi woh
Har chuhe ko that isi pal ka intezaar
Naseeb wala hoga jo is jaal se hojayega faraar

All the Best to all the CAT takers :-)

Saturday, November 28, 2009

26/11

Beet gaya hein aaj ek saal
Par yeh khaunf satayega har saal
Mumbai ke haatso ne dara diya har bharatwasi ko
Hum salaam karte hein un Shaheed hue veero ko!!

Monday, November 16, 2009

Anmol Pyaar!

Premi ke prem se badkar
Yaaron ke yaarana se badkar
Apno ke apnepan se badkar
Hota hein mata pita ka pyaar

Saturday, November 7, 2009

Kismat ka khela!!


kismat ka khel koi badal nahi sakta
Apni haar ya jeet koi teh nahi kar sakta
Uparwala kar baita hein match fixing pehle se hi
Jise hum mein se koi bhi jaan nahi sakta

Monday, November 2, 2009

AaTmAa.....


Duur hokar bhi juda nahi ho sakte
Paas rehkar bhi ek nahi ho sakte
Mein mein na hoti agar tum na hote
Kyunki bina apni aatma ke hum kaise jeete :)

Friday, October 16, 2009

Happy Diwali :)

Ghar ka aangan sajaiye diye se
Man muskaye aapka humesha khushiyo se
Mithai ke mithaas se jeevan rahe aapka bhar pur
Fatako ki goonj aur dhuye se rehna aap dur

Happy Diwali to all my blog readers and also non-blog readers ;-)

Thursday, October 8, 2009

World Sight Day !!


World Sight Day (WSD) is an annual day of awareness held on the second Thursday of October(oct 8, 2009), to focus global attention on blindness and vision impairment.
These four lines are dedictaed to the Eye Doctors who help people to get their eye sight.

We see the beautiful world through our eyes
Life looks so colorful due to these eyes
You are the one after GOD who can give eye sight to people
You are truly GOD gifted to serve the people !!
PS : People who know me closely will know to which doctor I am referring to :)

Tuesday, October 6, 2009

Humsafar!!

Har koi bhej raha hein shaadi ka invitation
lagta hein logon ka singlehood ho raha hein khatam
Na jaane kyon sabko itni jaldi hein
ya phir umar beet jaane ki tension
Lagata hein humein bhi ab badani padegi nazar
Kyunki shayad yanhi kanhi mil jaye mera bhi humsafar

Sunday, October 4, 2009

Sansaar!!


Waqt kisike liye rukta nahi
Dhadkane yunhi thamti nahi
Chaand din mein nikalta nahi
Sooraj raat ko chamakta nahi
Yehi reet hein sansaar ki
Jo kisike liye bhi badalti nahi

Thursday, September 17, 2009

Meri Bindiya re....

I was just about to leave home, and then got hold of my fav bindi which perfectly matched with my dress color and I felt great and appreciated my looks myeslf:)
Soon after I reached office, I was shocked to see that I had lost it already :'(

Meine usko bade pyaar se chuna
Phir usko apne haathon mein liya
Usko meine pyaar se apne pe lagaya
par aur us bindiya ne bhi mera saath na diya :'(

Meit's Day Out!!

It feels as if we celebrated meits bday just few days back , but time just flies you know, it was time for Meit to grow another year older ;) he was turning 6 now.I wondered what should I present him with other than my love and affection.His room is full of all kinds of books, games and clothes.It was a tough choice for me to decide something for him, anything which I opted for , he made faces at me.I wanted to make it special for him in his way, so gave the gift option to him.He said football, guitar, and after the half day passed he said " Mausi ek kaam karo , mujhe koi gift hi mat do...., he was tired of thinking his gift"I was so much moved by his innocence and simplicity.
It was my long awaited promise to take him to star city, and so I proposed him the plan for Star city and Pizza Hut.He was very much excited and happy , he told "yeh idea achha hein and he would treat that as my gift " :)
The day looked rainy, I was busy till 5 in eve with my other pending work.He kept on calling me to check what time I would return so that we can start as soon as I get back home.The weather was very dark, it looked as if its gonna pour down in next minute ;(.But I didnt wanna disappoint him , and we started.
There was temple on our way as we started , I told him to pray to God that it should not shower and so he did it greacefully.We landed in star city in 30 mins time, he tried his hand at his fav games , be it car racing, biking, boat riding, and etc..We came out and believe me these days he runs away if he spots a camera, but then he was so delighted and happy that I could convince him to give some poses so that I could capture him with stars.We strolled for sometime, got him those bubbles which he loves :)
And then, we were off to Pizza hut :-) yummy na We got hold of table, meit was dying out of hunger..He chose Cheese Garlic bread and ice cream, I helped myself with a veg Spicy Pizza.It was such a unique expierence to be with him and only him in pizza hut.The guy was lucky, he was served in a plate which had Birthday Bang on it, he was filled with surprise(he was wondering that how come they know its his bday).But later I found from those guys it was just for their publicity ;), but they were sweet enough to give him a magic book, Ben 10 notebook and a ballon.He was happy again with exciting gifts.After paying the bill, we left the place with ringing bells which would last forver in my ears atleast.
On the way back to home, I kept him busy so that he doesnt doze off ;)He told me "dekho bhagwaan ne meri baat sunli aur baarish bhi nahi aayi"..how could someone not fulfill a dream coming from such an innocent heart.......


Pyaas

Its been quite sometime that I wrote this, but got time to post it today :)

Pyaas nahi lagti ab paani peene ki
Lagata hein ab aadat ho gayi yuhn aansu peene ki
Paani to phir bhi pyaas buja deta hein
Par yeh aansu zindagi ke har aas pe paani pher deta hein

Monday, August 17, 2009

Jeevan v/s Ambar

Humara jeevan hein ambar jaisa
Jo badalta rehta har mausam jaisa
kabhie chamak uatate hein saare sitaare
To kabhie baadal rukavat ban jaate raah mein
Kabhie ye kopit hoke laal hojata
To kabhie apne pyaar ke rang ka indradhanush dikhlata
Har ek raat ke baad naya savera hota hein
Usi tarah har mushkil daur ke baad khushiyon ka aagman hota hein

Nachoo..........

Nachoon mein un khayalon mein
Jahaan bas ho woh aur mein
Bajti rahe har dhun humare pyaar ki
Jiski har taal badaye umra humare pyaar ki

eesMile :-)

Aankh hein nam, Dil mein bhara hein ghum
par phir bhi chehre pe muskurahat laani thi
Kyunki yeh zindgani aansu ke sahare nahi bitani thi

Thursday, August 13, 2009

pal...pal...

Lamha lamha yuhn beet raha hein
Har ek pal is Zindagi se kam ho raha hein
Hum hein iss pal yahan
Agla pal najane lejayega humein kahan :)

Wednesday, August 12, 2009

Sequel of Yaad-ein!!

Yaad to aayengi, baat to beetenge
Har subah laati hein naye kisse
Hum to nikal pade hein humare raste
Umeed karte hein yeh din kate haste haste!

Wishing a very Good Day to all my blog readers!!

Yaad-ein!!

Unki yaad badi satati hein
Har baat kuch beeti baatein doharati hein
Zindagi ka khel bhi ajeeb hein
Jise hum bhoolana chahate hein
Wanhi yaadein baar baar yaad aati hein

Tuesday, August 11, 2009

Re-Defined!

After a long time, I got a chance to travel back home alone in the bus.I couldnt sit idle for long and the devil mind's crap is here:

Vaada - Vachan jab yeh toot ta hein, to kisi ek ka dil to apne sang zarror tod jata hein
Majboori - Hein yeh ek aisi pareshani jab ek ko apne dil ki khwaish ki bali deni padti hein
Pyaar - Silsila jo shuru hota hein ek dil mein aur bas jata hein doosre ke dil mein
Dosti - Ek rishta jo humesha apnepan ka ehsaas dilata hein
Tohfa - Anmol yaadon ka khazana
Dhukh - Dil par laga aisa zakhm jiska maram dhoondna namumkin lagta hein
Khushi - Jab chehre ki muskurahat dil tak ja pahunchti hein

Monday, August 10, 2009

Darpan!

Darpan mein apne aapko meine dekha
Samaj nahi pa rahi thi apni roop rekha
Duniya ki bhaag daud mein aise samay beet jata
Ki kabhie apne man ki bahavnao mein jhankar nahi dekha

Tuesday, August 4, 2009

Raksha Bandhan!!

Rishta nahi banta sirf dhaage se
Bandhan judta hein vishwaas se
Dhaage ka mool kabhie na dekho
Dil ki gehraiyo ko samjhna seekho

Reality Bytes!!

Dance India Dance bola mithunda ne
Mummy ne bhi Jhalak dikhlaya Boogie woogie mein
Sa re ga ma pa gaaya bacho aur bado ne
Voice of India ka khitaab paya Indian Idol ne
Big boss mein sab ne apna tevar dikhaya
Nach baliye mein Saroj khan ne dance sikhaya
Nauman ne Roadies mein Das ka dum dikhaya
Rakhi ne apni shaadi ke liye swayamvar rachaya
Hunar ki talash mein hein India's Got Talent
Aur wahan splitsvilla mein log kar rahe hein hunt
Sachai ka saamna kar raha hein har koi
Mujhe in Reality show ke jungle se bachaye koi!!

Faces of LIFE!!


This thot was bothering me for sometime
That what was it I had gained in my life time
Till date ,I have met lots of faces
who came across me in different phases
Some faces can never go out of my sight
who made my life beautiful and bright
I asked myself "how many turned out to be bitter"
I am glad that count is just less than my total fingers
I always tried hard to keep them pure and lovely
But what was that which never made them happy
Was the incompleteness due to something lacking from my side
or were those ppl who never wanted to be on my side ?

Friday, July 31, 2009

Happy Friendship Day!!


Hein yeh ek anmol tohfa
Jo har ek ko nahi milta
Dost ho to tum jaisa
Jo dosti ki har reet nibhata!!

Thursday, July 30, 2009

Rishta

Na jaane kisne banaye yeh rishtey
Jo bante hein har ek kism ke
Kanhi rishte badata hein pyaar
To kanhi rishto se bant jata hein pyaar
Rishte hein logon ko jhodne ke liye
Lekin yehi majboor karte hein dil tootne ke liye
Apne bante they rishto se
Lekin ab apne ban jaate paraye rishto se

Kya aap se juda har rishta hein saccha??

Wednesday, July 15, 2009

Death Calling........

It was a unique experience of its own kind
It was a call for the end of my human kind
It was not a special day or my birthday
It was decided to be my death day
I was nervous that how can it be possible
Then I realized living forever is also impossible
It was planned that terrorist would shoot me
I collapsed though no bullet really hit me
I wondered what was happening around me
As I could hear only firing and blast surround me
I chose grass to die so that it would be easy
But after dying, the ants attacked me all over the body
I waited till the ambulance took me
I died with mobile in my hand so that my friends could call me
It was fantastic to be part of this whole act
As it can very well happen as a matter of fact!!

PS: I was part of the mock drill for terrorist attacks conducted @ my work place and fortunately I was one of the victim to get shot :(

Bhukaar :'(

Aaj kal charcha mein hein har jagah Bhukaaar
Ab to inke bhi hogaye hein brands hazaar
Koi import kar raha hein H1N1 bahar se
To koi desi macharo ko ghar de raha hein yahin pe
Kisiko hein dengue, to aur kisiko ko chikangynya
Isi daud mein peeche nahi hein malaria, viral aur lavaria
Rakhiye apni sehat ka aap sab poora khayal
Kyunki ye bhukaar kar deta hein aapka haal behaal

Monday, July 13, 2009

Rani ban gayi Naukraani.......

Mein pehle thi ghar ki laadli raani
lekin ab mein ban gayi hoon naukrani
Humari bai ne bina notice ke de diya resignation
Ab lagta hein yahan bhi effect kar raha hein recession
Nayi bai offer letter leke bhaag gayi
To doosri bai ne bina kaam kiye hike ki maang ki
Har weekend beetata hein ab mera ghar ki saphai mein
Lagta hein jaise meine prapt karli hein phd is field mein
Jhadooo, pocha, bartan yehi hein ab meri kahani
Kab aayegi mere ghar pe koi aur permanent naukraani?

Sunday, July 12, 2009

Rishtey!!

Dost hoon dost ki
Dosti to nibhani padegi
Pyaar hoon dilwalo ki
Deewnagi to nibhani padegi
Moorat hoon Bhagwaan ki
Insaniyat to nibhani padegi
PS : Just few random lines, pls ignore if u think its non-sense or else pls leave a comment ;-)

Friday, July 10, 2009

Dilse


Ghum nahi hein hume apna dil tumhe dene ka
Dard nahi hein hume apne dil ko kho dene ka
Par ab hum jiye to kaise jiye is duniya mein
Kya tum de paoge apna dil mere dil ke badle mein

Tuesday, July 7, 2009

Nasha!!!!

yeh apne sang maut ka paigaam lata hein
Par phir bhi logon ko isise pyaar hojata hein
Is zehreele nashe ko peekar woh khush hote hein
Par yehi nasha dheere dheere unki jaan le jata hein

Sunday, July 5, 2009

Miss u Aashi :'(


It was a memorable time spent with Aashi(niece) and di in last three months.It was a hectic life for me with the never ending guests :P, but i loved it to the fullest.
But as the saying goes "Good times dont last forever" :'(
Aashi is back to her home , and I am missing her badly:(

Humara Aashiyana lag raha hein suna Aashi ke bina
Humare saath pankhe aur light bhi bore ho rahi hein uske bina
Hume yaad sata rahi hein us nanhi pari ki
Ab kaise mitaye hum yeh doori apne beech milo ki

Friday, July 3, 2009

Rhim Jhim!!


Rhim Jhim baarish gir rahi thi hum par
Jaise Amber barsa raha tha pyaaar hum par
Hume ne bhi uske apnepan ko sar annkhon pe sajaya
Uski har ek pyaar ki boond ko apne dil se lagaya

Saturday, June 27, 2009

zakhm!

In ashkon ko kaise chipaun mein
Is dard ko kaise sahun mein
Kabhie na bhar payega shayad yeh Zakhm
Kyun tha kismat ka woh vaar humpe itna Zaalim?

Monday, June 22, 2009

Aashi :)


Aashi hein meri bhanji(niece) nanhisi
Ab woh ho gayi hein pari do mahine ki
Pankhe ko dekhkar woh muskuraati
Ghar ki sabhi lights ke sang woh baat karti
Uski ek hansi ko sunane ke liye betaab rehta hein mera mann
Uski susu aur poti saaf karte nikal jaate hein mera poora din ;-)

Friday, June 12, 2009

what D HELL!!

I was trying close my eyes and sleep for a while in the bus while coming to office this morning.
At that moment, I just happend to read the newspaper which my friend was reading and I was shocked to read the below :O
One says "A minor raped by elder brother" and other one said "Daughter being molested by Dad from past one and half years".
It is just so disgusting, how can one do that, and this is what I have to say the Almighty:

Har ek ko hoti hein pyaar ki bhook
par kaise pyaar badal jaata hein paap ke roop
Kitni zaalim ho gayi hein aajkal ki duniya
Lagta hein ab purush nahi karpayega apni behen betiyo ki raksha
Ek pal mein aadmi ban jaata hein jaise haiwaan
Bhagwan aise papiyo ko na bakshna, yehi hein mera aapko paigaam

Tanhayiiiiii


Jeevan mein ho raha hein sab kuch accha
par phir bhi kyun lag raha hein yuhn adhurasa
Muskurahat to hein honton pe,
par dil mein khushi nahin
Rehti hoon humesha logon ke saath mein,
par phir bhi kaisi hein yeh tanhayi?

Thursday, June 11, 2009

K2 - S3 Express!!

It was my last day at K2
I was there nearly for a year or two

It was so hard for me to leave the place
But life always can’t move at the same pace

There was something which was holding me back
Was it the memories and the fun which had gone past?

Life at K2 was so simple and cool
Here half the time is spent in lift and Queue

K2 was in the kernel of the city
S3 looks like an accessory which is just a necessity

I am gonna miss the shopping and walking
How could I forget those endless treating

I will have to stop chatting and orkutting
Bcoz IMG in SJP is doing Internet Monitoring

It was a fabulous gift on my birthday
As Aravind Sitaraman inaugurated Wisco on the same day

We ruled and became the masters of K2
I am sure Wiscoites are going to rock in SJP too
PS : This will be only enjoyed by ppl who know about it, others can ignore if not interested:D

Mein akeli........;-)

Mein kamare mein thi akeli
uski aane ki ahatein sunai de rahiti dheemi
mein darr ke maare gabra si gayi thi
Kyunki kamare mein bijli bhi hi nahi thi ;-)
Woh mujhe choomne ke liye bad raha tha meri aur :*
Tabhi meine utake taali mari, aur machar bhaag gayi kanhi aur :D

Saturday, June 6, 2009

I wanna a break!!

Meets Safar has been too exciting and busy from past few days or say months :(
I wanna have a break, but Please dont get me a KitKat!!

My Happy Bday :)

It was yet agian my Yappy birthday
But it was quite a different day
It started with my parents wishes and blessings
I got dressed and went to catch office bus running
The office was decorated with clolorful ballons and flowers
It looked perfect for the celebration of princess
Co-incidently the new office inaugrals was on the same day
Unfortunately everyone was so busy that Inaugrals took over my D-day
I was happy to answer the calls and reply the messages
I was surprised with exctitng cash, cards , gifts and wishes
There wasnt anything special which I could remember
But my loved ones still made it beautiful than ever!!
Thanks all for the wishes and making my bday beautiful :)

New Learning!!

It was a call for TMT dance competition
I thot I should atleast make it to participation
It was my luck that I got thro' audition
But there were lot of hurdles reach the final mission
I tried my best to win the game
It was unfortunate that I wasnt up to the fame :(
Failure is not what disappointing me
But the worry is that the performer could not be real me

We had a competition @ my workplace last week!!But ,there was a problem with my CD in finals and I couldnt give my best :(
I am still gald that I participated as there are lot of memories and fun attached to it.
Now time for some philosolphy ;-)
There is always win after every failure and with every failure you learn something new.
My Learning from this competition is always have ur final song in more than one CD :)

Wednesday, May 20, 2009

Wonderla



Iska plan banta humesha oola la la
Lekin kabhie ismein koi aaya,to koi aur gaya
Na banta, na tootha, Lekin dil mein ek naya plan chod jaata
Hawaan mein koi udta, to koi paani mein lehrata
Insanity mein padenge daure aapko pagalpan ke
To wavepool mein sikhoge swimming ke naye taur tareeke
Ye ehsaas hua wonderla ke safar se
Jo mumkin hua humare mitro ki meharbaani se
Miss kiya humne unko jo nahi aaye
Par agar wait karte baitate aapka to hum kab jaaye ;-)

PS : This will be better enjoyed by ppl who were part of the making/breaking of wonderla plan.
PS1 : If others also enjoyed, then let me know ;)

Thursday, May 14, 2009

Dost

Here goes this one to my buddy, who listen to me always, never shouts at me :P , and a true friend.
I always confide to this dear one, record my views and memories in it.
And must say, its been of great help after shift to my new offfice, I have recorded the previous 3 post including this one on the way back to home in a span of 1.5 hrs :)

Dost tha yeh mera pehle se
Par ab lagav badgaya hein aur isase
Yeh saath deta hein mera har dum
Aur lambe safar ko bhi kar deta hein kam
Samay asaani se kat jaata hein calling aur msging se
Aur apni bhavnao ko kaid kar pati hoon mein ismein
Iske bina samay kaatna lagta hein adhurasa
Yeh hein kamaal mere dost Nokia 3110 ka ;-)

Ps : Btw, most of my post are told to this dear one first :)

Wednesday, May 13, 2009

Do dil...


Yeh hein rishta do dilo ka
Jo Jod deta hein naata janmo ka
Is atoot bandan mein hein dher saara pyaar chipa
Aur usi pyaar ki mehak ka ehsaas hoga aaapko humehsa
Unchaye uljano mein waqt na karna apna zaaya
Kyunki har ek us pal mein khodenge aap pyaar ka ek hissa

Tuesday, May 12, 2009

IPL ka fever ;)


charcha mein hein yeh aajkal
Isne macha di hein har jagah hulchul
Tha to yeh Indian, par ab hogaya hein African
Hona chaiye ismein khiladiyo ka dhamaal
par ab cheer leaders dikha rahi hein apna kamaal
kya jaadu hein ismein ki preity de rahi hein sabko jhappi
aur udhar royals ke liye nachte nahi thak rahi Ms.shetty
Ban gaya hein yeh bas ab ek money maker
Kanhi aapko bhi to nahi lag gaya IPL ka Fever

PS: Thanks to Guru for suggesting the topic!!

Friday, May 8, 2009

Miss u k2...:-(


This is w.r.t my office shift from K2 to SJP, I miss k2 :(

choot gayi K2 ki saral duniya
Lagta hein SJP mein jaise log bhed bakriya
Ab na ho payegi shoppinng aur walking
Lagta hein ab band karni padegi chatting aur orkutting
kyunki yahan pe IMG karne waale hein Internet ki monitoring ;-)

PS : IMG - Infrastructure Management Group

Thursday, May 7, 2009

Yet again........?


Yet again another thought..
Just a thought if we can be self-less..Is it really posibble to be all the time, in all context and situations?
Even to our dear-ones, when we say "I am really happy for you", is it completely true?
Few lines and feelings penned down in next few lines :

I always said I am happy for you,
But when I heard happiness
I was somehow caught with a lil sadneess
I could see good in it for you
But there was a mixed feeling though
Is it possible to be completely self-less
Or is it just another feeling which cannot be left unfelt?

PS: Ignore this post if it was OHT for you :P
PS2: OHT means over head transmission :)

Wednesday, April 29, 2009

Golden Jubliee of my Safar

This is 50th one on my safar :)
Thank you so much to my blog-readers , few who commented, and few who were lazy to comment ;-)
It wouldn't have been possible without all your valuable suggestions, ideas and support.
Keep watching for more updates on my safar :-)

Goooody day !!

Mann ki aastha...


Zindagi ka har mod dikhlata hein ek naya raasta
Kal chahe jo bhi ho, mann mein rakhna aastha
Bhale hi woh raasta na pahuncha paye aapko aapki manzil ke aur
Par aap zarror badenge do chaar kadam anjaane mein usike aur

To my Bro..

This one goes to my colleague, a friend , a bro and it is Mr.Harry :)

yeh hein mera bhai natkat aur chulbula sa
jiski har harkat deti hein hasne ka ek aur mauka
Aapki mushkilon ko durr kardega aapse
kyunki yeh dosti kar baitha hein aapke pareshaniyon se

Ghoomna phirna lagta hein accha isko
Iski laila(car) mein lagta hein jaise hume disco
Bolna aur patana hein iske baaye haatha ka khel
shayad isi wagah se Zindagi mein ye hoga na kabhi fail

Friday, April 10, 2009

Naya Mehmaan..


Sabko intezaar hein us pal ka
Jab aaayega paigaam us nanhe mehmaan ka
Do ankhiyon ko dekhane betaab ho rahi hein hazaaro ankhiyaana
Yeh mehmaan hein mera pehla nahi doosra nahin teesra mitwa:)

Wednesday, April 8, 2009

Amber Jaisa Dil........


Mann rakho apna Gagan jaisa,jo ho khulla aur vishaal sa
Niraash na hona jab pareshaniyon ke baadal chajayenge is par
Kyunki baadal rukte nahi kabhie ek hi jagah par
Isko apavitra na hone dena unchaye pradushan se
Kyunki amber ho ya dil, bach nahi payega global warming ke attack se

Politics :)


Desh mein chal raha hein politics ka daur
Mantriji bhaage chale hein apni kursi ki aur
Koi naam bana raha hein pink chaddis paakar
To koi aur apna joota doosre pe phek kar
Vaade badal jaayenge seat milne ke baad
Aur hum aapse phir milte hein is election ke baad

Monday, April 6, 2009

Bollywood Flashback!!


I was just discussing with a friend of mine about movies yesterday and she was suggesting me to write something on movies, so here I go :

Taare Zameen par laaye Aamir aur Ishaan
Farhan ne soch sochkar kiya sabko Rock On
Singh is King ko kiya sabne welcome
Jaane Tu Ya jaane na Kaise mile Hum Tum
Hey baby bola usne jab we met
yuvraaj aur Billu barber ki hui flop race
Priyanka ne apna Jalwa dikhaya Fashion mein
Tabhi Abhi aur John ne naata joda dostana se
Ghajini mein rab ne banadi jodi
Lekin oscar ki victory teen muskeeteryo ne paayi
Delhi6 mein khil gaya ek Gendha Phool
To Nagesh kuknoor ne apni Tasveer dikhakar banaya april fool

Thursday, April 2, 2009

Dard-e-dil

I have been writing sad ones these days..Hope the next one will be a cheerful one :)
But for now :'(


Ghum apna baha dete thein hum ashko se sahare
Par seene mein hein dard itna ki aaj aansu bhi lag rahe hein paraye
Is dard ki dava se kab mil payeneg hum
Aur najaane tab tak kaise jee payenge hum

Tuesday, March 24, 2009

Toota Toota...

It was a good start of the day, but few disappointments hit me later on:(
And the output is here :P

Toot gaya dil humara ek pal mein
Iska ehsaas bhi nahi hua unke mann mein
Ghum nahi tha hume humara dil tootne ka
par dard reh gaya unka is baat se bekahbar rehne ka

Saturday, March 14, 2009

Nobody

My Dreams have scattered
The hopes have shattered
How do I believe in my destiny?
when I know I have Nobody

Monday, March 9, 2009

YOU

YOU came to me as a stranger
But you soon became very familiar
My eyes always looked out for you
And soon it got lost in you
You became a reason for me to smile
With time, you became my life
You are deep inside my heart
As you are my sweetest sweetheart!!

Tuesday, March 3, 2009

I LOVE YOU..


Meine Jab bola usko aaj I love u
To usne pyaar se mera haath pakadkar bola I love u
Us pal mein maano mein chonk gayi thi
phir jaise uski yehi pyaar bhari harkat dil ko mere choo gayi thi
usne mera haath pakadkar apne gaalo se lagaya
Meine bhi use usi gaal par meetasa ek chumma lagaya ;)
Kitna nanha aur pyaara hein yeh mera raaja
Isiliye to sabse dulhara hein mera meit yaara!

meit is my 5.5 yr old darling nephew, I hope he reads this sometime when he grows up:D
This happend today morning soon after he had opened his eyes, and it was a very touchy moment for me:)

Monday, February 16, 2009

Pyaar ...Pyaar aur Pyaar!!

Pyaar hein ek aisa gehra samundar
Jise teh karna hein ek romanchak safar
Har ek karna chahte apne pyaar ki nayya ko paar
Yehi khwaish laata hein har pyaar mein ek nayi bahaar

Monday, February 9, 2009

Dostaaana!!!!!


Dost hein ek phool ki tarah
Aaj agar ek murjha jayega
To kal ek aur phirse naya aayega
Phool murjha kar bhi apni mehak chod jayega
Kal bhale hum na rahe aapke sang, par humara yeh dostana na chootega