Saturday, January 30, 2010

Chanda mama

The brightest and biggest full moon of 2010 was visible at its best around 8 pm on Jan 30.
It is said to be around 15% bigger and 30% brighter as compared to other full moons because it's at its closest to the Earth.

Chaand aaya hein aaj aapke dastak par
Uska swaagat karne jaiye aap bahar
Woh aapki raah dekte kanhi thak na jaye
Kanhi woh aapse rootkar suraj ki kirano mein chup najaye!!

I did witness the Full moon yday, and found a bright ring around the moon :-)
Hope you all got a chance to witness the same!!

Wednesday, January 27, 2010

Kolkata!!

I had been to Kolkata last week for a friend's wedding and trip.Rest of the details as below:

Start of Journey:
Lagta tha jo kal tak ek Sapna sa
Woh haqiqat banke aaya Kolkata
Dost ki shaadi ka bahana liye
3 idiots Kolkata ghumne chalein
Train me ho gayi padosi se takraar
Jiske wajah se bada unke sang aur bhi pyaar
Chai pe chai, naashte pe naashta
yunhi khelte khelte kat gaya train ka raasta
Day 1:
Kolkata ki tandi pavan ne chooma humko
Hum bhi tayyar hoke nikle use choomne ko
Woh Flurry's ke sandwiches they la jawaab
Par unke daamone bada diya humara hisaab
Victoria Hall mein dekha Queen Victoria ko
Science City mein dekhe anohke ajoobe ko
Phir yaad aaya ki shamil hona tha humko shaadi mein
Turant pahunch gaye hum dosti ki barbaadi mein ;-)

Day 2:
Sooraj ki kiran ne neend udayi humari
Naashte mein naseeb hui aloo aur poori
Local bus ke sahare pahunche Dakshineswar
Ferry ride se gaye hum Belur Math par
Phool dekhe humne kanhi rang aur aakar ke
Mandir mein aashirwad liya kaali maa ke
Dumdum se train mein jhulte hue pahunche Barrackpore
Tandi hawa mein titurte hue pahunche hum ghar

Day 3:
Kaali maa ka aashirwad lene gaye Kaalighat
Wanha se shopping ke liye nikle gariyahat
Bengali taat, Banarasi silk, Kurta aur Shall khareede humne
Isi Beech chue daud ne lag gaye humare pet mein
Tram aur taxi se pahunche Parkstreet mein
Peter's cat mein sizzling sizzlers khaaye humne
Howrah bridge ki sair ki humne do baar
Maidaan ke chakkar kaate humne Goda gadi pe savaar
Metro ki tez raftaar se pahunche Reception mein
Naye jode ko badhai dekhar photo kichvali humne

Day 4:
Woh akhri din tha Kolkata mein
Ghar pe hi rukkar waqt bitaya humne
Sab ke sang ki humne mauj masti
UNO ke skip aur draw two ne udadi sabki susti
Aagayi thi gadi Kolkata ko alvida kehne ki
Rosgulla aur Sondesh se mithi rahegi yaadein is safar ki
Vote of Thanks:
Thanks to my friend for getting married in Kolkata
Thanks to my parents for letting me go
Thanks to my frenz who accompanied me and made it a memorable Trip
Thanks to my manager for approving my leaves :)

Saturday, January 16, 2010

Sooraj chanda ka khel!


Sooraj chanda jab khelte chuppa chuppi
Duniyawalo ki nazar inse nahi hatathi
Kabhie Sooraj sharmata, to kabhie chaand nakre dikhlata
Ye hein ek anokha khel jo sabko apne isharo pe nachata

Monday, January 11, 2010

Naye Rang!!



Naya saal laaya hein naye rang
Kanhi gulabi, to kanhi chamakta golden
Rang biranaga shuru hua hein yeh naya saal
ye sab tha humare ghar ke re-painting ka kamaal

This new year was very colorful, we finally could plan the Re-painting work in last week of December:)
Dad had given me the responsibility of choosing the color shades for home.
I had a tough time to pick the colors as Asian paints have so many shades, it is even hard to make out the difference between two shades:-D
Though, it was a very colorful , enjoyable and very very tiring experience :-)

Tuesday, January 5, 2010

hApPy nEw yEaR 2010!!

2009 keh gaya humse alvida
Kuch pal beete pyaar bhare,
To kuch lamhe reh gaye adhure
Koi rishta aur bhi hua gehra
To koi rishto ne muh mod liya
Hume Hazaar bahane mile muskuraane ke liye
To kabhie aansu bhi kam pade ghum chupane ke liye
Haste Haste aur kabhie rote beet gaya ek aur saal
Kaamna karte hein ki yunhi masti bhara ho naya saal

Happy New Year!!!
Hope I write many more posts and you keep commenting on them :)