I had been to Kolkata last week for a friend's wedding and trip.Rest of the details as below:
Start of Journey:
Lagta tha jo kal tak ek Sapna sa
Woh haqiqat banke aaya Kolkata
Dost ki shaadi ka bahana liye
3 idiots Kolkata ghumne chalein
Train me ho gayi padosi se takraar
Jiske wajah se bada unke sang aur bhi pyaar
Chai pe chai, naashte pe naashta
yunhi khelte khelte kat gaya train ka raasta
Day 1:
Kolkata ki tandi pavan ne chooma humko
Hum bhi tayyar hoke nikle use choomne ko
Woh Flurry's ke sandwiches they la jawaab
Par unke daamone bada diya humara hisaab
Victoria Hall mein dekha Queen Victoria ko
Science City mein dekhe anohke ajoobe ko
Phir yaad aaya ki shamil hona tha humko shaadi mein
Turant pahunch gaye hum dosti ki barbaadi mein ;-)
Day 2:
Sooraj ki kiran ne neend udayi humari
Naashte mein naseeb hui aloo aur poori
Local bus ke sahare pahunche Dakshineswar
Ferry ride se gaye hum Belur Math par
Phool dekhe humne kanhi rang aur aakar ke
Mandir mein aashirwad liya kaali maa ke
Dumdum se train mein jhulte hue pahunche Barrackpore
Tandi hawa mein titurte hue pahunche hum ghar
Day 3:
Kaali maa ka aashirwad lene gaye Kaalighat
Wanha se shopping ke liye nikle gariyahat
Bengali taat, Banarasi silk, Kurta aur Shall khareede humne
Isi Beech chue daud ne lag gaye humare pet mein
Tram aur taxi se pahunche Parkstreet mein
Peter's cat mein sizzling sizzlers khaaye humne
Howrah bridge ki sair ki humne do baar
Maidaan ke chakkar kaate humne Goda gadi pe savaar
Metro ki tez raftaar se pahunche Reception mein
Naye jode ko badhai dekhar photo kichvali humne
Day 4:
Woh akhri din tha Kolkata mein
Ghar pe hi rukkar waqt bitaya humne
Sab ke sang ki humne mauj masti
UNO ke skip aur draw two ne udadi sabki susti
Aagayi thi gadi Kolkata ko alvida kehne ki
Rosgulla aur Sondesh se mithi rahegi yaadein is safar ki
Vote of Thanks:
Thanks to my friend for getting married in Kolkata
Thanks to my parents for letting me go
Thanks to my frenz who accompanied me and made it a memorable Trip
Thanks to my manager for approving my leaves :)