Wednesday, March 31, 2010

Bollywood TRIO!!


Jab Kareena ne kahan "Bebo mein bebo, dil mera lelo"
Shahid muskurakar bola "Tumse hi Tumse hi....."
Par unke pyaar ka baj gaya nagada afer Jab we met
Yeh sunkar saif ko kuch to hua hein, kuch ho raha hein
Tabhi Kareena boli "le teri hogayi yaar sajana ve sajana"
Kambaqt Ishq ho gaya jab se woh hue ek doosre pe Kurbaan!!

Lazzzy Lamhe!!

Ek hi khaayal aata hein roz utate hi
Ki kya le loon chutti aaj office ki
Par jab yaad aata dher saara kaaam
Meri pyaari neend ho jaati haraam
Mann to bahut karta hein office jaane ko
Par manzoor nahi har savere 6 baje utane ko ;-)

Sunday, March 28, 2010

Mahavir Jayanti!!

Ahimsa aur Sathya ki raah pe chale woh
Achaurya aur Aparigraha ke liye khade rahe woh
Trisala aur Siddharta ke hein woh suputra
Jo maane jaate hein choubisve Tirthankar
Maata pita ne naam diya unko vardhamaan
Jo bane Jainiyo ke liye sabse bade vardhaan!!

FYI :
Nonviolence (Ahimsa) - not to cause harm to any living beings
Truthfulness (Satya) - to speak the harmless truth only
Non stealing (Asteya) - not to take anything not properly given
Non possession/ Non attachment (Aparigraha) - complete detachment from people, places, and material things

Wednesday, March 24, 2010

Salsa magic!!

Dance ke samandar mein jhoomna chahti thi mein
Koi Nruthya ki kala sikhna chahti thi mein
Kaafi jaanch pooch ke baad join kiya salsa class
Jahan har step shuru hota Arun ke 5678 bolne ke baad
kabhie Right Turn, kabhie Left turn lekar aate chakkar
Par inhi chakkar mein to mein jhoomna chahti thi aakhir! :)

Monday, March 22, 2010

Twist & Twist !!


Avsar tha Women's day celebration ka
Hum 3 idiots ne plan kiya kuch mauj masti
Lambe discussion ke baad hua gaana final
Twist karte karte hum ho gaye sab gaayal
Kabhie chai, kabhie naasta, kabhie paani
Har din ek ke ghar bhojan ki thi planning
Jab humlog utare apna andaaz paish karne
sitio aur taaliyon ki kami nahi padne di humne!!

Wednesday, March 3, 2010

HOLI!!!!!!

Holi ke rango se hi shuru hua tha meet ka safar
Kabhie gulaal pyaar ka, to kabhie laal krodh ka
Har rang de raha hein ek naya ehsaas iss safar mein
Umeed karte hein ki yeh holi laaye khuski ke rang aapke jeevan mein!!

Belated Happy Holi to everyone :-)

Save our Tigers!!


Kabhie they woh humare desh ki shaan
Par ab mit raha hein unka naamo nishaan
Kya hum raksha kar payenge unki
Kya hum bacha payenge apna rashtriya praani