Monday, May 9, 2011

Dooriyan


Hoon mein ghar ki laadli aur dulhari
Lekin yahan se jaane ki ab hein meri baari
Mauj masti aur khelte beet gaye saal
Chinta hein ki inse door hoke kya hoga haal
Zindagi ki shuruaat hogi phir se nayi
Par afsos yeh hein ki apno ki satayegi kami :'(

Sunday, May 8, 2011

Dil to bacha hein ji...


Armaan dil main machal rahe hazaar
Dil ko her pal hai ab us gadi ka intejaar
Jab judega kisi se meet ka safar
Jo banega meet ke safar mein humsafar!!

Friday, April 29, 2011

Koi Mil Gaya ;-)


Jiska tha intezaar, woh mil gaya
Jiske liye they hum bekarar, woh mil gaya
Jisko tarasti yeh nighaye, woh mil gaya
Haan Haan Haan, mujhe apna humsafar mil gaya!!

Tuesday, April 12, 2011

The Story of Appraisal


Aayi hein Appraisal ki ghadi
Ab khulegi pol poore saal ki
Kiya tha humne kitna kaam
Aur kitna roshan kiya humne naam
parda faash hoga galtiyon aur khaamiyon se
Is saal ki hike milegi insab ko naap tol ke :-D

Happy estory making :-P

Thursday, April 7, 2011

Garmati Garmi!


Lo aa gaya phir se garmi ka mausam
Yeh hein bachcho ka sabse favorite season
Aam,Gola, Sharbat, tanda aur ice-cream
Naani ke ghar milte ye saare item
Chuttiyan mila deti apno ko apno se
Pocket money badaati rishtedaro ke paiso se
Naani ki kahaniyo se raat ko aankh lagna
Woh sooraj ki kirano se neend khulna
Do mahino ki unlimited mauj masti
Har Kisika dil isko paane ke liye tarasti!!

To re-live those moments, I am going to my Naani for a summer break!!

Saturday, April 2, 2011

W.I.P.R.O


Its been 5 years that I joined Wipro Technologies on 3rd Apr 2006.
When I look back only two major things come to my mind, AMIGOS & MRRNM
AMIGOS are the fantastic frenz with whom every day of Training is still memorable.
MRRNM is my team with whom working & learning was fun.
These two post are dedicated to both :-)

Paanch saal beet gaye yunhi haste haste
Amigos se mile they hum isi raste
Kabhie na bhoola payenge woh Training ke din
Jahan dosti hui kareeb aur gehri har ek din
Woh class mein dheere se ghup shup karna
Breaks mein chai pe ek doosre ko chidana
Woh class ke beech mein gaane sunana
Exam aur proj ke liye ek hokar taiyaari karna
Kudremukh ke tandi pavan mein sabka ghomna
Yeh sab tha itna suhana, ki namumkin hein ise bhoolana!!

Kismat thi humari ki Cisco mein Project mila
Humne bhi poori mehnat aur shidat se kaam kiya
MRRNM Team ban gaya humara doosra parivaar
Jahan har mauke ko bana dete hum tyonhaar
Apne Latko Jhatko se jeet liya dil sabka
Mauka nahi chodte hum kisi Dance competition ka
Trip pe Trip badaati gayi humari mauj masti
Isi beech aage badti gayi humari Wipro ki Kashti
DumCharades khelte ban gaye naye yaar
Bus mein beeta woh har pal hein yaadgaar
Khushnaseebi hein ki U.S jaane ka mauka mila
Jisko maanti hoon apna Guru, unke saath kaam kiya
Happy hogaye Happy Team mein shamil hokar
Jiske bina adhoora rehjata meet ka safar
Yahan beeta har lamha hein humare liye khaas
Zindagi ke yeh paanch saal rahenge dil ke paas!!

Friday, March 25, 2011

WC Fever!


Poori duniya padi hein ke cup ke peeche
Koi khel raha hein karke batting,
To koi malamaal ho raha karke betting
Har match bada raha hein tension
FB pe cric status hein ab Fashion
Kanhi Jeet mein ho rahi hein Celebration
To Kanhi Haar la raha hein frustration
Cup to le jayega ek kismat wala desh
Aur hum chayenge woh ho apna bharat desh

GO INDIA GO!!!!!!!!

Thursday, March 24, 2011

Mein aur meri Bimaari :-D


kabhi dard udhar ,to kabhi idhar
kabhi Sardi kam, to kabhi zyada
Jahan mein jaati ,woh wahin aata
Meine kahan "nahi nahi abhi nahi"
Woh bola "Hum tum ek kamre mein bandh ho"
Mera mann darr ke gabraya
Iska ilaaj Doctor ne batlaya
Goli khate hi bimari ho gayi bhagam bhaag farar
Umeed karte hein ki dubara na aaye woh hamari aur

Being unwell & sick from sometime has really kept me off blogging ;'(

Tuesday, February 15, 2011

Mom's Multitasking!!



Alarm na bajne se Mom ki neend khuli late
Mano jaise critical ho gaya kitchen ka project
Kaam tha utna hi , waqt tha kam
Yahan koi resource add karna nahi tha mumkin
Roti , sabzi, doodh aur naashta in processing
Mano jaise ho rahi thi multitasking
Kanhi Deadline ho na jaaye slip
Aur office bus na ho jaye meri miss
Mom ne bada di processor ki speed dugani
Aur ho gayi waqt pe Tiffan ki delivery
Iske liye umeed nahi rakhti woh promotion ki
Ya phir woh nahi mang karti Hike dene ki!!

Hats off to All the Mom's :-)
This happened today morning at my home, so thot of comparing to what Mom's do v/s IT.

Thursday, February 3, 2011

FB Mania!!


Facebook kar raha hein orkut ko cut
Har koi bana raha hein FB pe account
Bichade hue rishte jud jaate hein yahan
Baccho se lekar bhude mil rahe yahan
Status update karte hein yuhn pal pal
Mano jaise duniya baiti hein janane inka haal
FB pe online rahenge is tarah
Jaise mar jayenge FB ke bina
Bhale waqt na mile apno ka face dekhne ko
Par bhoolenge nahi FB pe comment marne ko
Filhaal to kar sakte hein Fotos or Comments ko Like
Door nahi jab log karne lagenge ek doosre ko FB pe Like ;-)

Thursday, January 27, 2011

Hafta Hafta Time!!


Paisa paisa karte hein
Sab paise pe kyon marte hein
Mehnat se khoon pasina kiya ek sabne
Aur lo Govt agaya apna hafta lene
Sab lage hein apani rakam bachane
Koi laya anand , to koi saral jeevan mein
IDFC bonds ka naya fashion apanaya
Apne Bees Hazaar ko 80CCF mein lagaya
FD, NSC, PPF hein sabse tikau aur mast
To koi MF mein aazma raha hein kismat
Banks aur agents ho rahe hein malamaal
Tax bharne ke naam se bura ho raha haal
Kisika zyaada to kisika kam
Is IT ke Janjaal se bach nahi sakte hum

Tuesday, January 25, 2011

Human Keyboard!



Socho agar hota Human Keyboard
F1 dabate hi mil jata helpboard
Anchaye pal ko karsakte DELETE
Sunheri yaadein taaza karta F5
Jeevan mein jaate UP, DOWN, LEFT or RIGHT
Skip karna hota to kar dete ESC
CTRL kar pate apni yeh dastaan
Shift se hota jeevan aur bhi aasan
F4 madad karta apno ko milane mein
Pause kardete un pyaare lamho ko
Jab man kiya tab kardete jeevan ko Standby
Jab man chaha tab dabate ENTER to Continue

Monday, January 17, 2011

Bollywood ka Jhatka!


Nahi kiya kisine Action Replay ko play
Akshay aur Aish Zor ka jhatka de gaye
Dabaang laya Salmaan ke naye rang
Malaika badnaam hui Zandu ke Sang
Tees maar khan na hui malamaal
Kartina ki Jawani ne bhura kiya haal
Movie tiki nahi koi box office par
lekin Munni aur Sheila ka cha gaya fever

Friday, January 14, 2011

Chuk Bhuk!!


I had a great 2010 end and 2011 is ready to welcome me with some more surprises.
I happend to travel last weekend and had a unique experience in the Train looking at such varieties of people involved in various activities.
So Is Saal ka first blog Train ke Naam :-D

chuk bhuk chuk bhuk chalti rail gaadi
Ismein milte bache se lekar daadi
Station aate hi sab bhaage lene khana paani
Log thakte nahi din bhar peekar chai kaafi
Khana peena sona , iske sivayi koi kaam nahi
Taash , naach, gana bada deti mauj masti
Ajnabi bante dost aur Dost ban jaate premi
Is safar mein na jaane banti kitni nayi Kahani

When I read myself , it looked as if a school going kid has written this, but cant help it as I want to start blogging :-)
Hope I have lot of thoughts n moments in 2010 to capture on my Safar!!

Happy New Year:-)