Tuesday, March 11, 2008
Woh Mera Bachpan
Ek nanhi si jaan ka janam hua ek din, vah laga sabko sabse pyaara din
Is nanhi jaan ne bhardi khushiyaan har dil mein,
Laga jaise sabko unke sare armaan ho gaye pure us pal mein
Har pal beeta logo ke laad pyaar se ,
Har raat aankh lagi naani ki loriyonse
Sabki thi mein laadli aur payari,
Har chehre pe la deti di ek pal me hasi
Sabki Pareshani door ho jati meri pyari baatein sunkar,
Sab muskurane lagte meri chanchalata ko dekhkar
Saham jaati thi kabhi ye duniyawalon ko dekhkar,
Par papa ne sikhaya himmat se ladna ungali pakadkar
Maa ki mamta na hui kabhi kam,
Bhale hi kyun nahi chaya ho unpe duniya bhar ka gham
kabhi na mehsus hui kisi dost ki kami,
kyunki hamesha chai rehti thi mujhpe meri didiyo ki chavi
Har roz ki shaitani aur masti dher sari
kabhie na bhoola payenge woh doston ki yaari
Kitna pyaara tha har pal un din, Kitna pyaara beeta woh mera bachpan
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
4 comments:
Elaborate sketch of ur childhood - cool :)
very nice one.. glad I decided to read ur older posts to get to this one..
keep it up :)
@aashu:
I am glad too :-)
That was on epic. Loved it :-)
Post a Comment