Monday, August 17, 2009

Jeevan v/s Ambar

Humara jeevan hein ambar jaisa
Jo badalta rehta har mausam jaisa
kabhie chamak uatate hein saare sitaare
To kabhie baadal rukavat ban jaate raah mein
Kabhie ye kopit hoke laal hojata
To kabhie apne pyaar ke rang ka indradhanush dikhlata
Har ek raat ke baad naya savera hota hein
Usi tarah har mushkil daur ke baad khushiyon ka aagman hota hein

Nachoo..........

Nachoon mein un khayalon mein
Jahaan bas ho woh aur mein
Bajti rahe har dhun humare pyaar ki
Jiski har taal badaye umra humare pyaar ki

eesMile :-)

Aankh hein nam, Dil mein bhara hein ghum
par phir bhi chehre pe muskurahat laani thi
Kyunki yeh zindgani aansu ke sahare nahi bitani thi

Thursday, August 13, 2009

pal...pal...

Lamha lamha yuhn beet raha hein
Har ek pal is Zindagi se kam ho raha hein
Hum hein iss pal yahan
Agla pal najane lejayega humein kahan :)

Wednesday, August 12, 2009

Sequel of Yaad-ein!!

Yaad to aayengi, baat to beetenge
Har subah laati hein naye kisse
Hum to nikal pade hein humare raste
Umeed karte hein yeh din kate haste haste!

Wishing a very Good Day to all my blog readers!!

Yaad-ein!!

Unki yaad badi satati hein
Har baat kuch beeti baatein doharati hein
Zindagi ka khel bhi ajeeb hein
Jise hum bhoolana chahate hein
Wanhi yaadein baar baar yaad aati hein

Tuesday, August 11, 2009

Re-Defined!

After a long time, I got a chance to travel back home alone in the bus.I couldnt sit idle for long and the devil mind's crap is here:

Vaada - Vachan jab yeh toot ta hein, to kisi ek ka dil to apne sang zarror tod jata hein
Majboori - Hein yeh ek aisi pareshani jab ek ko apne dil ki khwaish ki bali deni padti hein
Pyaar - Silsila jo shuru hota hein ek dil mein aur bas jata hein doosre ke dil mein
Dosti - Ek rishta jo humesha apnepan ka ehsaas dilata hein
Tohfa - Anmol yaadon ka khazana
Dhukh - Dil par laga aisa zakhm jiska maram dhoondna namumkin lagta hein
Khushi - Jab chehre ki muskurahat dil tak ja pahunchti hein

Monday, August 10, 2009

Darpan!

Darpan mein apne aapko meine dekha
Samaj nahi pa rahi thi apni roop rekha
Duniya ki bhaag daud mein aise samay beet jata
Ki kabhie apne man ki bahavnao mein jhankar nahi dekha

Tuesday, August 4, 2009

Raksha Bandhan!!

Rishta nahi banta sirf dhaage se
Bandhan judta hein vishwaas se
Dhaage ka mool kabhie na dekho
Dil ki gehraiyo ko samjhna seekho

Reality Bytes!!

Dance India Dance bola mithunda ne
Mummy ne bhi Jhalak dikhlaya Boogie woogie mein
Sa re ga ma pa gaaya bacho aur bado ne
Voice of India ka khitaab paya Indian Idol ne
Big boss mein sab ne apna tevar dikhaya
Nach baliye mein Saroj khan ne dance sikhaya
Nauman ne Roadies mein Das ka dum dikhaya
Rakhi ne apni shaadi ke liye swayamvar rachaya
Hunar ki talash mein hein India's Got Talent
Aur wahan splitsvilla mein log kar rahe hein hunt
Sachai ka saamna kar raha hein har koi
Mujhe in Reality show ke jungle se bachaye koi!!

Faces of LIFE!!


This thot was bothering me for sometime
That what was it I had gained in my life time
Till date ,I have met lots of faces
who came across me in different phases
Some faces can never go out of my sight
who made my life beautiful and bright
I asked myself "how many turned out to be bitter"
I am glad that count is just less than my total fingers
I always tried hard to keep them pure and lovely
But what was that which never made them happy
Was the incompleteness due to something lacking from my side
or were those ppl who never wanted to be on my side ?